Namaskaar Dosto, is video mein maine aapko Whatsapp ke latest feature end to end encryption ke baare mein bataya hai, waise toh whatsapp ne is feature ko kuch dino pehle test kiya tha android aur iOS pe, magar ab yeh feature sabhi whatsapp users ke liye available hai, aur is encryption ki madad se aapke sabhi messages, calls, images, aur videos encrypted rahenge, aur koi bhi unhe intercept nahi kar payega, aur aapki whatsapp ki security ekdum theek bani rahegi, is whatsapp encryption feature ko use karne ke liye aapko whatsapp ka latest update use karna hoga, aur saath hi saath jis bhi user se aap whatsapp chat ya call karna chahte hai aur use encrypte rakhna chahte hai unke phone mein bhi whatsapp ka latest update hona jaruri hai, ek baar aap encryption use karle, uske baad, aapki sabhi information jo bhi aap share karte hai encrypted hogi, aur whatsapp ya koi bhi 3rd party iska kuch bhi use nahi kar payegi, waise toh encryption bahut hi acchi cheej hai, but iske kuch negative aspects bhi hai, agar koi criminals iska galat use karenge toh aise mein bahut bura hoga, aur fir yeh apple vs fbi wala scene ban sakta hai. Mujhe umeed hai ki whatsapp latest feature encryption ke baare mein banayi hui yeh video aapko pasand aayegi. \r
\r
Win Galaxy S7, S7 Edge Here: \r
\r
Share, Support, Subscribe!!!\r
Subscribe: \r
Youtube: \r
Twitter: \r
Facebook: \r
Instagram: \r
Google Plus: \r
\r
About : Technical Guruji is a YouTube Channel, where you will find technological videos in Hindi, New Video is Posted Everyday :)